10 Easy Kitchen Tips Every Housewife Should Know

 


Main Tips:



  1. Soft Roti Ka Secret:

  1. Aata gundhte waqt thoda doodh ya dahi mila dene se roti zyada soft banti hai.

  1. Masalon Ko Fresh Rakhne Ka Tarika:

  1. Masale hamesha airtight container mein rakhein aur unhein dhoop se door rakhein.

  1. Pyaaz Kaate Bina Aansoo:

  1. Pyaaz kaatne se pehle use 10 minute fridge mein rakh dein — koi aansoo nahi!
  2. Lemon Ka Zyada Ras:
    Nimbu ko thoda garam karne ke baad ya haath se roll karne ke baad uska ras zyada nikalta hai.
  3. Stale Bread Ka Use:
    Basi bread se aap bread crumbs bana sakti hain jo cutlet ya kabab mein use ho sakta hai.
  4. Burnt Cooker Saaf Karne Ka Nuskha:
    Cooker ya pan jal gaya ho, toh usmein thoda vinegar aur baking soda daal ke ubal lijiye.
  5. Hath Se Lehsun Chhilne Ka Easy Tarika:
    Lehsun ki kaliyon ko 10 second microwave mein rakhkar chhilna bahut asaan ho jata hai.
  6. Green Vegetables Ka Colour Barkarar Rakhna:
    Sabzi banate waqt thoda sa baking soda milane se patte hamesha hare rehte hain.
  7. Paneer Ko Soft Rakhne Ka Tarika:
    Paneer ko garam paani mein 10 minute bhigo ke use karein — soft aur fresh lagega.
  8. Sabziyon Ki Kachra Ko Compost Banayein:
    Kachra na phenkhein — usse compost banakar aap apne plants ko healthy bana sakti hain.


Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

“Smart Kitchen Organisation Ideas – Ghar Ki Rasoi Hamesha Saaf aur Saji Rahe!”

"Sardi-jukam ke liye haldi vala doodh- maa ka nuskha"